Zakir Khan Shayari

Har ek Dastoor se Bewafai, Maine Shiddat se Nibhayi

Raaste bhi khud hi Daundhe, Manzil bhi khud Banayi

Har ek copy ke peeche, Kuch na Kuch Khaas likha hai,

Bas Is tarah tere mere Ishq ka itihaas likha hai,

Tu Duniya main chahe jahan bhi rahe,

Apni diary mei maine tujhe pass likha hai

मेरे कुछ
सवाल हैं जो
सिर्फ क़यामत के रोज़
पूछूंगा तुमसे
क्योंकि
उसके पहले तुम्हारी और मेरी
बात हो सके
इस लायक नहीं हो तुम।

मैं जानना चाहता हूँ,
क्या रकीब के साथ भी
चलते हुए शाम को यूं हीे
बेखयाली में
उसके साथ भी हाथ
टकरा जाता है तुम्हारा,
क्या अपनी छोटी ऊँगली से
उसका भी हाथ
थाम लिया करती हो
क्या वैसे ही
जैसे मेरा थामा करती थीं
क्या बता दीं बचपन की
सारी कहानियां तुमने उसको
जैसे मुझको
रात रात भर बैठ कर
सुनाई थी तुमने
क्या तुमने बताया उसको
कि पांच के आगे की
हिंदी की गिनती
आती नहीं तुमको
वो सारी तस्वीरें जो
तुम्हारे पापा के साथ,
तुम्हारे भाई के साथ की थी,
जिनमे तुम
बड़ी प्यारी लगीं,
क्या उसे भी दिखा दी तुमने

ये कुछ सवाल हैं
जो सिर्फ क़यामत के रोज़
पूँछूगा तुमसे
क्योंकि उसके पहले
तुम्हारी और मेरी बात हो सके
इस लायक नहीं हो तुम

मैं पूंछना चाहता हूँ कि
क्या वो भी जब
घर छोड़ने आता है तुमको
तो सीढ़ियों पर
आँखें मीच कर
क्या मेरी ही तरह
उसके भी सामने माथा
आगे कर देती हो तुम वैसे ही,
जैसे मेरे सामने किया करतीं थीं
सर्द रातों में, बंद कमरों में
क्या वो भी मेरी तरह
तुम्हारी नंगी पीठ पर
अपनी उँगलियों से
हर्फ़ दर हर्फ़
खुद का नाम गोदता है,और क्या तुम भी
अक्षर बा अक्षर
पहचानने की कोशिश
करती हो
जैसे मेरे साथ किया करती थीं

मेरे कुछ सवाल हैं
जो सिर्फ क़यामत के रोज़
पूछूगा तुमसे
क्योंकि उसके पहले
तुम्हारी और मेरी बात हो सके
इस लायक नहीं हो तुम।

Wo Titli ki tarah aayi aur Zindagi ko Baag kar gayi,

Mere jitne Napaak the Iraade, Unhe bhi Paak kar gayi

Guzara kam me kar liyaCheena nahi kisi kaMitti me bagawat rahi,parwarish me saleeqa.Raqeeb dhundhte rahe,shauhrat ka sabab meri.Maloom kahan unheBadon se mahobbat,choton se baat karne ka tareeqa.

Teri bewafaai ke Angaaron main lipti rhi yh Ruuh meri

Main is tarah aag na hota, jo hojaati tuu meri

Kamyaabi tere liye humne khudko kuchyun taiyyar kar liya,

Maine har jazbaat baazar main rakh kar Ishtehaar kar liya

 मैं शून्य पे सवार हूँ
बेअदब सा मैं खुमार हूँ
अब मुश्किलों से क्या डरूं
मैं खुद कहर हज़ार हूँ
मैं शून्य पे सवार हूँ
मैं शून्य पे सवार हूँ

उंच-नीच से परे
मजाल आँख में भरे
मैं लड़ रहा हूँ रात से
मशाल हाथ में लिए
न सूर्य मेरे साथ है
तो क्या नयी ये बात है
वो शाम होता ढल गया
वो रात से था डर गया
मैं जुगनुओं का यार हूँ
मैं शून्य पे सवार हूँ
मैं शून्य पे सवार हूँ

भावनाएं मर चुकीं
संवेदनाएं खत्म हैं
अब दर्द से क्या डरूं
ज़िन्दगी ही ज़ख्म है
मैं बीच रह की मात हूँ
बेजान-स्याह रात हूँ
मैं काली का श्रृंगार हूँ
मैं शून्य पे सवार हूँ
मैं शून्य पे सवार हूँ

हूँ राम का सा तेज मैं
लंकापति सा ज्ञान हूँ
किस की करूं आराधना
सब से जो मैं महान हूँ
ब्रह्माण्ड का मैं सार हूँ
मैं जल-प्रवाह निहार हूँ
मैं शून्य पे सवार हूँ
मैं शून्य पे सवार हूँ.

6 Hair bands.
4 alag alag tarah ki baalon wali Clips.
Woh… uss din jo sandal tuti thi tumhari, Uska Ek strap.
Aur haan Woh kitaab jiske panne mod kar diye they tumne.

Sambhal rakha hai maine sab,
Jab aaogi toh le jaana.

Waise chote bade mila kar,
kuch 23 kapde bhi pade hai tumahre.
Unme se, kuch me tum bala ki haseen lagi.
jaise woh red wala top aur Black wali dress.
Woh baby pink crop top aur woh green jump suit.
Sab yahin pada hai.
toh mai bas yeh keh raha tha ki
kharid lena na waisa sa hi kuch kahi se.. kyunki,
Sach kahu toh Lautane ka Dil nahi karta mera.

Nahi Nahi Mazak kar raha hoon,

Sambhal rakha hai maine sab,
Jab aaogi toh le jaana.

Waise kuch hisab bhi dena tha tumko,

Jo tumhari meri Tasveer wala,
Coffee mug diya tha tumne.
Uska handle tut gaya hai mujhse.
Blue wali shirt bhi peechel 2 hafton,
Mil nahi rahi hai kahin par aur..
Perfume khatam ho gaya hai.
Ghadi khoyi nahi hai par band ho gayi thi.
Isliye utar rakhi hai, bas bata raha hoon tumhe.
Woh Green wali check shirt dhobi ne jala di.
Woodland wale joote Zeeshan le gaya.
tumhare diye Earphones aur Chashma,
ek din Airport par jaldbaazi me chhut gaye.
bahut dhunda, nahi mile.

Par

Woh sukha hua Gulaab ke phoolo ka guladasta.
tumhari lipstick ke nishaan wala paper cup.
Woh tissue paper jis par tumne number likh kar diya tha,
tumhari car parking ki parchiya.
Woh Tute hue Clutcher ke Dono hisse.
tumahre more pankh wale jhumke.

Aur mai….

yeh sab kuch jo bhool gayi thi tum,
ya shayad jaankar chhoda tha tumne.
Apni jaan se bhi jayada,

Sambhal rakha hai maine sab,
Jab aaogi toh le jaana.

Bus Ka Intezaar Karte Hue,
Metro Mein Khade Khade
Rikshaw Me Baithe Hue
Gehre Shunya Me Kya Dekhte Rehte Ho?
Gumm Sa Chehra Liye Kya Sochte Ho?
Kya Khoya Aur Kya Paya Ka Hisaab Nahi Laga Paaye Na Iss Baar Bhi?
Ghar Nahi Jaa Paye Na Iss Baar Bhi?

Apne Aap Ke Bhi Picche Khada Hoon Mai,
Zindagi, Kitne Dheere Chala Hoon Mai…
Aur Mujhe Jagaane Jo Aur Bhi Haseen Hokar Aate The,
Unn Khwaabon Ko Sach Samajhkar Soya Raha Hoon Mai….

Suno, Tumhari kahani sunni hai… Shuru se… ek bar phir se.

Mai doob raha hoon, apne hi bhavar mein.
Roz Doob raha hoon. 
mere antarmann me Hazaron sunamiya aati hai. 
Meri Atma ko apne gehre andheron me kheechti hai. 
Bahut darawni jagah hai woh, 
Tum kabhi mat aana wahan. 
Jahan mai…. roz doobta hoon. 
Doobta hoon, ubharta hoon, Ladta hoon khud hi se aur

…Phir Uthkar aa jaata hoon apna tamasha le kar.

Tumse hath nahi manga, 
kyunki bhavar bahut tez hai.
bahut tez hai yeh mere vichlit Mann ka bhavar. 
Mai toh doob hi raha hoon, 
tumhe sath le kar nahi doobna chahta. 
Nahi chahta ki iss sunami ka ek chitta bhi 
ksisi mere apne par padhe. 
Jaise mai kho raha hoon khud ko, 
waise mai tumhe nahi khona chahta.
Mere antandvand ki sabse aachi baat yeh 
ki iss me Har roz mai hi jeetta hoon. 
Aur sabse bhayavar baat yeh ki
Mai hi hoon jo har roz apne hi aap se haar raha hoon. 
Roz haar raha hoon, lagatar haar raha hoon. 
na jeet ka koi tamga milta hai 
na haar ke ghav dekhte hai. 
bas sab kuch khali rehta hai, 
haan yeh mai keh raha hoon. theek suna tumne 
Ki mai Doob raha hoon, Roz doob raha hoon. 
Apne hi bhavar me. 
Par 
Mai lada hoon, laduga. 
Aaj dooba hoon, par ubhrunga aur kal…

Phir Uthkar aa jauga apna tamasha le kar.

Ab woh aag nahi rahi,
na sholon sa deheqta hoon.
Rang bhi sabke jaisa hai,
sab sa hi mehekta hoon.

Ek arsey se hoon thame,
Kashti ko bhawar me.
Toofaan se bhi jayada,
sahil se siharta hoon.

Tumse badi narazgi hai mujhko.

Ab dekho na,
Tumhare narm hotho ki misal nahi milti 
aur mere ashaar adure reh jaate hain.

Jitna tezab mila duniya se,
ussi ki sharab bechta hoon.
Zillatein chhaton par tang,
asma ko khab bechta hoon.

Ishq ko maasoom rehne do notebook ke aakhri panne par.
Aap use kitaabon mein daalkar mushkil na kijiye.

Ab koi haq se hath pakadkar mehfil mein dobara nahi baithaata.
Sitaaron ke beech se suraj banne ke kuch apne hi nuksaan hua karte hai.

Teri bewafaai ke Angaaron mein lipti rahi yun ruh meri.
Mein is tarah aag na hota, jo ho jaati tu meri.

Har ek dastoor se bewafai, main shiddat se hai nibhai.
Raaste bhi khud hai dhundhe, aur manzil bhi khud banayi.

Hum dono me bas itna sa farq hai uske sab “lekin” mere naam se shuru hote hain, aur mere saare “kaash” uss par aa kar rukte hain.

Mein chah kar bhi, tum jaisa nahi ban paya. Dekho na…Tum toh aage badh gaye, par mein kahaan badh paaya.

Zindagi se kuch zyaada nahi, bas itni si farmaaish hai.
Ab tasveer se nahi tafseel se milne ki khwaaish hai.

Main Waqt aur tum Qayamat. Dekhna, jab hum milenge toh iss Kainaat mein sab kuch Ruk jayega

Ek arsey se hoon thamey, Kashti ko bhanwar mein. Toofaan se bhi jayada Sahil se siharta hoon

Ab woh aag nahi rahi, na Sholon jaisa dehekta hoon.
Rang bhi sab ke jaisa hai, sabsa hi to Mehekta hoon.
Ek arse se hoon thhame Kashti ko Bhavar mein,
Toofaan se bhi jyada Saahil se Siharta hoon.

Woh titli ki tarah aayi aur Zindagi ko baag kar gayi,
Mere jitne napak the iraade unhe bhi paak kar gayi.

Apne aap ke bhi peeche Khada hoon mein,
Zindagi kitna dheere chala hoon mein.

 Har ek copy ek peeche kucch na kuch khaas likha hai,
Bas iss tarah tere mere Ishq ka Itihass likha hai.
Tu Duniya me chaahe jahan bhi rahe,
Apni Diary mein maine tujhe paas likha hai..

Kya apni chhoti Ungli se uska bhi Haath thaam liya karti ho tum,
Kya waise hai jaise Mera thhama karti thi?

Mere kuch sawaal hai jo sirf Qayamat ke roz puchunga tumse,
Kyuki uske pehle tumhari aur meri baat ho sake is laayak nahi ho tum.

Meri zameen tumse gehri rahi hai.
Waqt aane do, aasman bhi tumse uncha rahega.

Hazaron baar suney hue gaane ka lyrics agar achanak se acchha lagne lagjaaye, toh babu samajh jao ki emotional watt lagane hi wali hai.

Kamyaabi tere liye humne khud ko kuch yun taiyyar kar liya, Maine hr jazbaat baazar mein rakh kr ishtehaar kar liya

Bus ka intazar karte hue,
metro mein khade khade,
Chalte rikshaw mein baithe hue,
Gehre shunya mein kya dekhte rehte ho?
Gum chehra liye yeh kya sochte rehte ho?
Kya khoya kya paaya ka,

Hisab nahi laga paaye na iss baar bhi.
Ghar nahi ja paaye na iss baar bhi.