जिंदगी में कोई प्यार से प्यारा नही मिलता,
जिंदगी में कोई प्यार से प्यारा नही मिलता,
जो है पास आपके उसको सम्भाल कर रखना,
क्योंकि एक बार खोकर प्यार दोबारा नही मिलता।
बहुत सुकून मिलता है जब उनसे हमारी बात होती है,
वो हजारो रातों में वो एक रात होती है,
जब निगाहें उठा कर देखते हैं वो मेरी तरफ,
तब वो ही पल मेरे लीये पूरी कायनात होती है।
आग लगी दिल में जब वो खफ़ा हुए,
एहसास हुआ तब, जब वो जुदा हुए,
करके वफ़ा वो हमे कुछ दे न सके,
लेकिन दे गये बहुत कुछ जब वो वेबफा हुए।
किसी न किसी को किसी पर एतवार हो जाता है,
एक अजनबी सा चेहरा ही यार हो जाता है,
खूबियों से ही नही होती मोहब्बत सदा,
किसी की कमियों से भी कभी प्यार हो जाता है।
दिल का हाल बताना नही आता,
हमे ऐसे किसी को तड़पाना नही आता,
सुनना तो चाहतें हैं हम उनकी आवाज़ को,
पर हमे कोई बात करने का बहाना नही आता।
Ek Umar Beet Chali Hai Tujhe Chahte Hue,
Tu Aaj Bhi BeKhabar Hai Kal Ki Tarah.
Anaa Kehti Hai ilteza Kya Karni,
Woh Mohabbat Hi Kya Jo Minnaton Se Mile.
Muqammal Na Sahi Adhoora Hi Rahne Do,
Ye Ishq Hai Koi Maqsad Toh Nahi Hai.
Wajah Nafraton Ki Talaashi Jaati Hai,
Mohabbat Toh Bin Wajah Hi Ho Jaati Hai.
Guftgoo Band Na Ho Baat Se Baat Chale,
Bajron Mein Raho Qaid Dil Se Dil Mile.
Hai Ishq Ki Manzil Mein Haal Ke Jaise,
Lut Jaye Kahin Raah Mein Saman Kisi Ka.
Chahat Hui Kisi Se Toh Fir Be-Inteha Hui,
Chaha Toh Chahaton Ki Hadd Se Gujar Gaye,
HumNe Khuda Se Kuchh Bhi Na Manga Magar Usey,
Manga Toh Siskiyon Ki Bhi Hadd Se Gujar Gaye.
Love Shayari In Hindi 2023
Kuchh Khaas JaanNa Hai To Pyar Kar Ke Dekho,
Apni Aankhon Mein Kisi Ko Utaar Kar Ke Dekho,
Chot Unko Lagegi Aansoo Tumhein Aa Jayenge,
Ye Ehsaas JaanNa Hai To Dil Haar Kar Ke Dekho.
Na Jahir Hui Tumse Aur Na Hi Bayaan Hui Humse,
Bas Suljhi Hui Aankhon Mein Uljhi Rahi Mohabbat.
Logon Ne Roj Hi Naya Kuchh Manga Hai Khuda Se,
Ek Hum Hi Hain Jo Tere Khayal Se Aage Na Gaye.
Raah Mein Mile The Hum Raahein Naseeb Ban Gayin,
Na Tu Apne Ghar Gaya Na Hum Apne Ghar Gaye.
Tumhein Neend Nahin Aati To Koi Aur Wajah Hogi,
Ab Har Aib Ke Liye QasoorWar Ishq Toh Nahin.
Muddaton Jisko Talasha Aaj Wo Mere Kareeb Hai,
Apna Pyar Paana Bhi Kahan Sabko Naseeb Hai.
Adaa Hai Khwaab Hai Takseem Hai Tamaasha Hai,
Meri Inn Aankhon Mein Ek Shakhs BeHatasha Hai.
Mere Lafz Feeke Pad Gaye Teri Adaa Ke Saamne,
Main Tujhe Khuda Keh Gaya Apne Khuda Ke Samne.
Raaz Khol Dete Hain Nazuk Se Ishaare Aksar,
Kitni Khamosh Mohabbat Ki Jubaan Hoti Hai.
Koi Rishta Jo Na Hota, To Wo Khafa Kyun Hota?
Ye BeRukhi, Uski Mohabbat Ka Pata Deti Hai.
Mujh Mein Lagta Hai Ke Mujh Se Zyada Hai Woh,
Khud Se Barh Kar Mujhe Rehti Hai Jarurat Uski.
Yahi Bahut Hai Ke Tumne Palat Ke Dekh Liya,
Yeh Lutf Bhi Meri Ummeed Se Kuchh Zyada Hai.
Usko Har Chand Andheron Ne Nigalna Chaha,
Bujh Na Paaya Wo Mohabbat Ka Diya Hai Shayad.
Lamhon Mein Qaid Kar De Jo Sadiyon Ki Chahatein,
Hasrat Rahi Ke Aisa Koi Apna Talabgar Ho.
Aankh Rakhte Ho Toh Uss Aankh Ki Tehreer Parho,
Munh Se Iqraar Na Karna Toh Hai Aadat Uski.
Sambhale Nahi Sambhalta Hai Dil,
Mohabbat Ki Tapish Se Na Jala,
Ishq TalabGaar Hai Tera Chala Aa,
Ab Zamane Ka Bahaana Na Bana.
Zindgi Se Yehi Gila Hai Mujhe,
Tu Bahut Der Se Mila Hai Mujhe,
Tu Mohabbat Se Koi Chaal Toh Chal,
Haar Jaane Ka Hausla Hai Mujhe.
Romantic Shayari in Hindi
Ye Lakeerein Ye Naseeb Ye Kismat,
Sab Fareb Ke Aayine Hain,
Haathon Mein Tera Haath Hone Se Hi,
Mukammal Zindagi Ke Mayne Hain.
Hasratein Machal Gayin Jab,
TumKo Socha Ek Pal Ke Liye,
Socho Tab Kya Hoga Jab,
Miloge Mujhe Umr Bhar Ke Liye.
Mohabbat Naam Hai Jiska Wo Aisi Qaid Hai Yaaro,
Ki Umrein Beet Jaati Hain Sazaa Puri Nahin Hoti.
Woh Rakh Le Kahin Apne Paas Humein Qaid Karke,
Kaash Ke Humse Koi Aisa Gunaah Ho Jaaye.
Tapakti Hai Nigaahon Se Barasti Hai Adaaon Se,
Mohabbat Kaun Kehta Hai Ki Pehchaani Nahi Jati.
RuBaRu Milne Ka Mauka Milta Nahin Hai Roj,
Isliye Lafzon Se Tum Ko Chhu Liya Maine.
Jannat-e-Ishq Mein Har Baat Ajeeb Hoti Hai,
KisiKo Aashiqi Toh KisiKo Shayari Naseeb Hoti Hai.
Bahut Nayab Hote Hain Jinhe Hum Apna Kahte Hain,
Chalo Tumko Izaajat Hai Ki Tum Anmol Ho Jao.
बहुत नायाब होते हैं जिन्हें हम अपना कहते हैं,
चलो तुमको इज़ाजत है कि तुम अनमोल हो जाओ।
Agar Ishq Karo Toh Aadaab-e-Wafa Bhi Seekho,
Yeh Chand Din Ki Bekaraari Mohabbat Nahin Hoti.
अगर इश्क करो तो आदाब-ए-वफ़ा भी सीखो,
ये चंद दिन की बेकरारी मोहब्बत नहीं होती।
Khamosh Labon Se Nibhana Tha Humko Ye Rishta,
Par Dil Ki Dhadkanon Ne Chahat Ka Shor Macha Diya.
खामोश लबों से निभाना था हमको ये रिश्ता,
पर धड़कनों ने चाहत का शोर मचा दिया।
Teri Aankho Mein Jab Se Maine Apna Aks Dekha Hai,
Mere Chehre Ko Koi Aayina Achha Nahi Lagta.
तेरी आँखों में जब से मैंने अपना अक्स देखा है,
मेरे चेहरे को कोई आइना अच्छा नहीं लगता।
Roj Saahil Se Samandar Ka Najara Na Karo,
Apni Soorat Ko Shabo-Roz Nihara Na Karo,
Aao Dekho Meri Najron Mein Utar Kar Khud Ko,
Aayina Hoon Main Tera Mujhse Kinara Na Karo.
रोज साहिल से समंदर का नजारा न करो,
अपनी सूरत को शबो-रोज निहारा न करो,
आओ देखो मेरी नजरों में उतर कर खुद को,
आइना हूँ मैं तेरा मुझसे किनारा न करो।
Kab Tak Woh Mere Hone Se Inkaar Karega,
Khud Toot Kar Wo Ek Din MujhSe Pyaar Karega,
Pyar Ki Aag Mien Hum Usko itna Jala Denge.
Ke Ijhaar Woh Mujhse Sare-Baajar Karega.
कब तक वो मेरा होने से इंकार करेगा,
खुद टूट कर वो एक दिन मुझसे प्यार करेगा,
प्यार की आग में उसको इतना जला देंगे,
कि इजहार वो मुझसे सरे-बाजार करेगा।
Yakeen Apni Chahat Ka Itna Toh Hai Mujhe,
Meri Aankhon Mein Dekhoge Aur Laut Aaoge,
Meri Yaadon Ke Samandar Mein Jo Doob Gaye Tum,
Kahin Jana Bhi Chahoge Toh Ja Nahi Paaoge.
यकीन अपनी चाहत का इतना है मुझे,
मेरी आँखों में देखोगे और लौट आओगे,
मेरी यादों के समंदर में जो डूब गए तुम,
कहीं जाना भी चाहोगे तो जा नहीं पाओगे।
Iss Lafze-Mohabbat Ka Itna Sa Fasaana Hai,
Simte To Dile-Aashiq Faile Toh Zamana Hai,
Yeh Ishq Nahi Aasaan Itna Toh Samajh Leeje,
Ek Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Ke Jaana Hai.
इस लफ़्ज़े-मोहब्बत का इतना सा फसाना है,
सिमटे तो दिले-आशिक़ फैले तो ज़माना है,
ये इश्क़ नहीं आसाँ इतना तो समझ लीजे,
एक आग का दरिया है और डूब के जाना है।
Ijhaar-e-Mohabbat Pe Ajab Haal Hai Unka,
Aankhein Toh Raza-mand Hain Lab Soch Rahein Hain.
इजहार-ए-मोहब्बत पे अजब हाल है उनका,
आँखें तो रज़ामंद हैं लब सोच रहे हैं।
Dil Mein Na Ho Jurrat Toh Mohabbat Nahi Milti,
Khairaat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti.
दिल में ना हो जुर्रत तो मोहब्बत नहीं मिलती
खैरात में इतनी बड़ी दौलत नहीं मिलती।
Dil Mein Aahat Si Hui Rooh Mein Dastak Goonji,
Kis Ki Khushboo Yeh Mujhe Mere SirHane Aayi.
दिल में आहट सी हुई रूह में दस्तक गूँजी,
किस की खुशबू ये मुझे मेरे सिरहाने आई।
GalatFehmi Ki Gunjaish Nahi Sachchi Mohabbat Mein,
Jahan Kirdaar Halka Ho Kahani Doob Jati Hai.
गलतफहमी की गुंजाईश नहीं सच्ची मोहब्बत में,
जहाँ किरदार हल्का हो कहानी डूब जाती है।
Top 10 Best Love Shayari in Hindi
Tumhari Ek Muskaan Se Sudhar Gayi Tabiyat Meri,
Batao Yaar Ishq Karte Ho Ya ilaaj Karte Ho.
तुम्हारी एक मुस्कान से सुधर गई तबियत मेरी,
बताओ यार इश्क करते हो या इलाज करते हो।
Na Poore Mil Rahe Ho Na Hi Kho Rahe Ho Tum,
Din-Ba-Din Aur Bhi DilChasp Ho Rahe Ho Tum.
ना तो पूरे मिल रहे हो ना ही खो रहे हो तुम,
दिन-ब-दिन और भी दिलचस्प हो रहे हो तुम।
Kisi Se Pyar Karo Aur Tajurba Kar Lo,
Ye Aisa Rog Hai Jismein Dawa Nahi Lagti.
किसी से प्यार करो और तजुर्बा कर लो,
ये रोग ऐसा है जिसमें दवा नहीं लगती।
Inkaar Jaisi Lazzat Ikraar Mein Kahan,
Barhta Raha Ishq Ghalib Uski Nahi-Nahi Se.
इन्कार जैसी लज्जत इक़रार में कहाँ,
बढ़ता रहा इश्क ग़ालिब उसकी नहीं-नहीं से।
Kitaab Meri Panne Mere Aur Soch Bhi Meri,
Phir Maine Jo Likhe Woh Khayal Kyun Tere.
किताब मेरी, पन्ने मेरे और सोच भी मेरी,
फिर मैंने जो लिखे वो ख्याल क्यों तेरे।
Mujh Sa Koi Jahaan Mein Naadan Bhi Na Ho,
Kar Ke Jo Ishq Kehta Hai Nuksaan Bhi Na Ho.
मुझ सा कोई जहान में नादान भी न हो,
कर के जो इश्क कहता है नुकसान भी न हो।
Akele Hum Hi Shamil Nahi Iss Jurm Mein,
Najar Jab Mili Thi Muskuraye Tum Bhi The.
अकेले हम ही शामिल नहीं हैं इस जुर्म में,
नजर जब मिली थी मुस्कराये तुम भी थे।
Tumko Hajaar Sharm Sahi MujhKo Lakh Zabt,
Ulfat Wo Raaz Hai Jo Chhupaya Na Jayega.
तुमको हजार शर्म सही मुझको लाख ज़ब्त,
उल्फ़त वो राज़ है जो छुपाया ना जायेगा।
Fir Se Ho Rahi Thi Mujhe Mohabbat Uss Se,
Na Khulti Aankh Toh Wo Mera Ho Chuka Hota.
फिर से हो रही थी मुझे मोहब्बत उससे,
न खुलती आँख तो वो मेरा हो चुका होता।
Mohabbat Ek Khushboo Hai Hamesha Saath Rahti Hai,
Koi Inssan Tanhai Mein Bhi Kabhi Tanha Nahi Rahta.
मोहब्बत एक खुशबू है हमेशा साथ रहती है,
कोई इंसान तन्हाई में भी कभी तन्हा नहीं रहता।
Mohabbat Kya Hai Chalo Do Lafzon Mein Batate Hain,
Tera Majboor Karna Aur Mera Majboor Ho Jana.
मोहब्बत क्या है चलो दो लफ़्ज़ों में बताते हैं,
तेरा मजबूर करना और मेरा मजबूर हो जाना।
Anjaan Si Raahon Par Chalne Ka Tajurba Nahi Tha,
Ishq Ki Raah Ne Mujhe Ek Hunarmand Raahi Bana Diya.
अनजान सी राहों पर चलने का तजुर्बा नहीं था,
इश्क़ की राह ने मुझे एक हुनरमंद राही बना दिया।
Tere Khamosh Honthho Par Mohabbat GunGunati Hai,
Tu Mera Hai Main Tera Hoon Bas Yahi Awaaz Aati Hai.
तेरे खामोश होंठों पर मोहब्बत गुनगुनाती है,
तू मेरा है मैं तेरा हूँ बस यही आवाज़ आती है।
Mujhe Malum Hai Mere Muqaddar Mein Tum Nahi Lekin,
Meri Taqdeer Se Chhup Kar Ek Baar Mere Ho Jaao.
मुझे मालूम है मेरे मुकद्दर में तुम नहीं लेकिन,
मेरी तक़दीर से छुप कर एक बार मेरे हो जाओ।
Sirf Ek Baar Aa Jaao Dil Mein Dekhne Mohabbat Apni,
Phir Lautne Ka Iraada Hum Tum Par Chhodte Hain.
सिर्फ एक बार आओ दिल में देखने मोहब्बत अपनी,
फिर लौटने का इरादा हम तुम पर छोड़ देंगे।
Mohabbat Meri Bhi Bahut Asar Karti Hai,
Yaad Aayenge Bahut Jara Bhool Ke Dekho.
मुहब्बत मेरी भी बहुत असर करती है,
याद आएंगे बहुत जरा भूल के देखो।
2 Line Love Shayari
Sadiyon Ka RatJaga Meri Aankhon Mein Aa Gaya,
Main Ek Haseen Shakhs Ki Baaton Mein Aa Gaya.
सदियों का रतजगा मेरी रातों में आ गया,
मैं एक हसीन शख्स की बातों में आ गया।
Tere Khayal Mein Jab BeKhayal Hota Hoon,
Jara Si Der Ko Hi Sahi BeMisaal Hota Hoon.
तेरे ख्याल में जब बेख्याल होता हूँ,
जरा सी देर को ही सही बेमिसाल होता हूँ।
Log Dekhenge Toh Afsana Bana Dalenge,
Yun Mere Dil Mein Chale Aao Ke Aahat Bhi Na Ho.
लोग देखेंगे तो अफ़साना बना डालेंगे,
यूँ मेरे दिल में आओ कि आहट भी ना हो।
Tera Zikr Teri Fikr Tera Ehsaas Tera Khayal,
Tu Khuda To Nahi Phir Har Jagah Kyun Hai.
तेरा ज़िक्र तेरी फ़िक्र तेरा एहसास तेरा ख्याल,
तू खुदा तो नहीं फिर हर जगह क्यों है।
Mushkil Nahi Tha Ishq Ki Baazi Ko Jeetna,
Bas Jeetne Ke Khauf Se Haare Chale Gaye.
मुश्किल नहीं था इश्क़ की बाज़ी को जीतना,
बस जीतने के खौफ से खुद को हारे चले गए।
Palkon Pe Larajte Ashqon Mein,
Tasveer Jhalakti Hai Teri,
Deedar Ki Pyaasi Aankhon Ko,
Ab Pyaas Nahi Aur Pyaas Bhi Hai.
Mayoos Toh Hun Tere Vaade Se,
Kuchh Aas Nahi Kuchh Aas Bhi,
Main Apne Khayalon Ke Sadke,
Tu Paas Nahi Aur Paas Bhi Hai.
पलकों पे लरजते अश्कों में,
तस्वीर झलकती है तेरी,
दीदार की प्यासी आँखों को,
अब प्यास नहीं और प्यास भी है।
मायूस तो हूँ तेरे वादे से,
कुछ आस नहीं कुछ आस भी है,
मैं अपने ख्यालों के सदके,
तू पास नहीं और पास भी है।
Khulta Nahi Hai Haal Kisi Par Kahe Bagair,
Par Dil Ki Jaan Lete Hain Dilbar Kahe Bagair.
खुलता नहीं है हाल किसी पर कहे बग़ैर,
पर दिल की जान लेते हैं दिलबर कहे बग़ैर।
Aankhon Ke Raste Se Mere Dil Mein Utar Gaye,
Banda-Nawaz Aap Toh Hadd Se Gujar Gaye.
आँखों के रास्ते मेरे दिल में उतर गये,
बंदा-नवाज़ आप तो हद से गुज़र गये।
Baithhe Hain Tere Dar Pe Kuchh Kar Ke Uthhenge,
Ya Vasl Hi Ho Jayega Ya Mar Ke Uthhenge.
बैठे हैं तेरे दर पे कुछ कर के उठेंगे,
या वस्ल ही हो जायेगा या मर के उठेंगे।
Hans Ke Chal Dun Main Kaanch Ke Tukdon Par,
Agr Woh Keh De Uske Bichhaye Phool Hain.
हँस के चल दूँ मैं काँच के टुकड़ो पर,
अगर वो कह दे उसके बिछाए फूल हैं।
Mohabbat Karna Koi Humse Seekhe,
Jise Toot Kar Chaha Woh Abtak Bekhabar Hai.
मोहब्बत करना कोई हमसे सीखे,
जिसे टूटकर चाहा वो अबतक बेखबर है।
Main Khud Pahel Karun Ya Udhar Se Ho Ibteda,
Barson Gujar Gaye Hain Yahi Sochte Huye.
मैं खुद पहल करूँ या उधर से हो इब्तिदा,
बरसों गुज़र गए हैं यही सोचते हुए।
Tu Mile Ya Na Mile Ye Mere Muqaddar Ki Baat Hai,
Sukoon Bahut Milta Hai Tujhe Apna Soch Kar.
तू मिले या न मिले ये मेरे मुकद्दर की बात है,
सुकून बहुत मिलता है तुझे अपना सोचकर।
Haal Apna Tumhein Batana Kya,
Cheer Ke Dil Tumhein Dikhana Kya,
Wahi Rona Hai Sadaa Ka Ab Bhi,
Daastaan Phir Wohi Dohrana Kya
Bekarari Hi Hai Judaai Mein,
Gham Ki Baatein Tumhein Sunana Kya,
Meri Chuppi Mein Teri Mohabbat Hai,
Bewajaha Honthon Ko Hilana Kya.
हाल अपना तुम्हें बताना क्या,
चीर के दिल तुम्हें दिखाना क्या,
वही रोना है सदा का अब भी,
दास्ताँ फिर वो ही दोहराना क्या.
बेकरारी ही है जुदाई में,
ग़म की बातें तुम्हें सुनना क्या,
मेरी चुप्पी में तेरी मोहब्बत है,
बेवजह होंठों को हिलाना क्या।
Yeh Na Samajh Ke Main Bhul Gaya Hun Tujhe,
Teri Khushbu Meri Saanson Mein Aaj Bhi Hai,
Majburion Ne Nibhane Na Di Mohabbat,
Sachchai Meri Wafa Mein Aaj Bhi Hai.
ये न समझ कि मैं भूल गया हूँ तुझे,
तेरी खुशबू मेरे सांसो में आज भी है,
मजबूरियों ने निभाने न दी मोहब्बत,
सच्चाई मेरी वफाओं में आज भी है।
Main Alfaz Hun Teri Har Baat Samjhta Hun,
Main Ehsaas Hun Tere Jazbat Samjhta Hun,
Kab Puchha Maine Ke Kyun Dur Ho Mujhse,
Main Dil Rakhta Hun Tere Halaat Samjhta Hun.
मैं अल्फाज़ हूँ तेरी हर बात समझता हूँ,
मैं एहसास हूँ तेरे जज़्बात समझता हूँ,
कब पूछा मैंने कि क्यूँ दूर हो मुझसे,
मैं दिल रखता हूँ तेरे हालात समझता हूँ।
Main Deewana Hun Tera Mujhe Inkaar Nahi,
Kaise Kah Dun Ke Mujhe Tumse Pyar Nahi,
Kuchh Shararat Toh Teri Najron Mein Bhi Thi,
Main Akela Hi Toh Iska GunagGar Nahi.
मैं दीवाना हूँ तेरा मुझे इंकार नहीं,
कैसे कह दूं कि मुझे तुमसे प्यार नहीं,
कुछ शरारत तो तेरी नज़रों में भी थी,
मैं अकेला ही तो इसका गुनहगार नहीं।
Ungliyan Meri Wafa Par Na Uthana Logo,
Jisko Shak Ho Wo Mujhse Nibaah Kar Dekhe.
उँगलियाँ मेरी वफ़ा पर न उठाना लोगों,
जिसको शक हो वो मुझसे निबाह कर देखे।
Ek Teri Tamanna Ne Kuchh Aisa Nawaaza Hai,
Maangi Hi Nahi JAti Ab Koi Aur Dua Humse.
इक तेरी तमन्ना ने कुछ ऐसा नवाज़ा है,
माँगी ही नहीं जाती अब कोई और दुआ हमसे।
Sau Jaan Se Ho Jaunga Raazi Main Saza Par,
Pahle Woh Mujhe Apna GunahGar Toh Kar Le.
सौ जान से हो जाऊँगा राज़ी मैं सज़ा पर,
पहले वो मुझे अपना गुनहगार तो कर ले।
Ik Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Ret Par,
Phir Umr Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi.
इक नाम क्या लिखा तेरा साहिल की रेत पर,
फिर उम्र भर हवा से मेरी दुश्मनी रही।
Uss Shakhs Mein Baat Hi Kuchh Aisi Thi,
Hum Agar Dil Na Dete Toh Jaan Chali Jati.
उस शख्स में बात ही कुछ ऐसी थी,
हम अगर दिल न देते तो जान चली जाती।
Khayalon Mein Uske Maine Bita Di Zindgi Saari,
Ibaadat Kar Nahi Paya Khuda Naraaj Mat Hona.
खयालों में उसके मैंने बिता दी ज़िंदगी सारी,
इबादत कर नहीं पाया खुदा नाराज़ मत होना।
Aap Daulat Ke Taraju Mein Dilon Ko Taulein,
Hum Mohabbat Se Mohabbat Ka Sila Dete Hain.
आप दौलत के तराज़ू में दिलों को तौलें,
हम मोहब्बत से मोहब्बत का सिला देते हैं।
Tumko Chaha Toh Khata Kya Hai Bata Do Mujhko,
Dusra Koi Toh Apna Sa Dikha Do Mujhko.
तुमको चाहा तो ख़ता क्या है बता दो मुझको,
दूसरा कोई तो अपना सा दिखा दो मुझको।
Dekhna Hashr Main Jab Tum Pe Machal Jaunga,
Main Bhi Kya Vaada Tumhara Hun Ke Tal Jaunga.
देखना हश्र मैं जब तुम पे मचल जाऊँगा,
मैं भी क्या वादा तुम्हारा हूँ कि टल जाऊँगा।
Woh Toh Khushbu Hai Hawaon Mein Bikhar Jayega,
Masla Phool Ka Hai Phool Kidhar Jayega.
वो तो ख़ुशबू है हवाओं में बिखर जाएगा,
मसला फूल का है फूल किधर जाएगा।
Humare Ishq Ko Yoon Na Aazmaao Sanam,
Pattharon Ko Bhi Dhadkana Sikha Dete Hain Hum.
हमारे इश्क़ को यूं न आज़माओ सनम,
पत्थरों को धड़कना सिखा देते हैं हम।
Chhu Jaate Ho Mujhe Har Roj Ek Naya Khwaab Bankar,
Yeh Duniya Toh Khamkha Kahti Hai Ke Tum Mere Kareeb Nahi.
छू जाते हो तुम मुझे हर रोज एक नया ख्वाब बनकर,
ये दुनिया तो खामखां कहती है कि तुम मेरे करीब नहीं।
Kabhi Tum Aa Jaao Khayalon Mein Aur Muskura Doon Main,
Ise Gar Ishq Kahte Hain Toh Haan Mujhe Ishq Hai Tumse.
कभी तुम आ जाओ ख्यालों में और मुस्कुरा दूँ मैं,
इसे गर इश्क़ कहते हैं तो हाँ मुझे इश्क़ है तुमसे।
Shayad Woh Apna Wajood Chhod Gaya Hai Meri Hasti Mein,
Yun Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi.
शायद वो अपना वजूद छोड़ गया है मेरी हस्ती में,
यूँ सोते-सोते जाग जाना मेरी आदत पहले कभी न थी।
Chhupane Laga Hoon AajKal Kuchh Raaz Apne Aap Se,
Suna Hai Kuchh Log Mujhko Mujhse Jyada JaanNe Lage Hain.
छुपाने लगा हूँ आजकल कुछ राज अपने आप से,
सुना है कुछ लोग मुझको मुझसे ज्यादा जानने लगे हैं।
Woh Achhe Hain Toh Behtar Hain Bure Hain Toh Bhi Qabool,
Mijaz-e-Ishq Mein Aib-o-Hunar Dekhe Nahi Jate.
वो अच्छे हैं तो बेहतर, बुरे हैं तो भी कबूल,
मिजाज़-ए-इश्क में ऐब-ओ-हुनर देखे नहीं जाते।
Parwane Ko Shamma Par Jal Kar Kuchh To Milta Hoga,
Sirf Marne Ki Khatir To Koyi Kisi Se Pyaar Nahi Karta.
परवाने को शमा पर जल कर कुछ तो मिलता होगा,
सिर्फ मरने की खातिर तो कोई प्यार नहीं करता।
Apne Haathon Se Yun Chehre Ko Chhupate Kyun Ho,
Mujh Se Sharmaate Ho Toh Saamne Aate Kyun Ho,
Tum Bhi Meri Tarah Kar Lo Iqraar-e-Wafaa Ab,
Pyar Karte Ho Toh Phir Pyar Chhupate Kyun Ho?
अपने हाथों से यूँ चेहरे को छुपाते क्यूँ हो,
मुझसे शर्माते हो तो सामने आते क्यूँ हो,
तुम भी मेरी तरह कर लो इकरार-ए-वफ़ा अब,
प्यार करते हो तो फिर प्यार छुपाते क्यूँ हो?
Socha Yaad Na Karke Thoda Tadpaun Tumhein,
Kisi Aur Ka Naam Lekar Jalaun Tumhein,
Par Chot Lagegi Tumhein Toh Dard Mujhe Hi Hoga.
Ab Yeh Bataon Kis Tarah Sataun Tumhein.
सोचा याद न करके थोड़ा तड़पाऊं तुम्हें,
किसी और का नाम लेकर जलाऊं तुम्हें,
पर चोट लगेगी तुम्हें तो दर्द मुझे ही होगा,
अब ये बताओ किस तरह सताऊं तुम्हें।
Pyaar Dariya Hai Jiska Sahil Nahi Hota,
Har Shakhs Mohabbat Ke Qabil Nahi Hota,
Rota Hai Woh Jo Dooba Hai Kisi Ki Pyaar Mein,
Aur Rota Wo Bhi Hai Jise Pyaar Hasil Nahi Hota.
प्यार दरिया है जिसका साहिल नहीं होता,
हर शख्स मोहब्बत के काबिल नहीं होता,
रोता है वो जो डूबा है किसी के प्यार में,
और रोता वो भी है जिसे प्यार हासिल नहीं होता।
Wo Dil Hi Kya Jo Kabhi Wafa Na Kare,
Tujhe Bhul Kar Jiye Kabhi Khuda Na Kare,
Rahegi Teri Mohabbat Meri Zindagi Bankar,
Wo Baat Aur Hai Agar Zindagi Wafa Na Kare.
वो दिल ही क्या जो कभी वफ़ा ना करे,
तुझे भूल कर जिएं कभी खुदा ना करे,
रहेगी तेरी मुहब्बत मेरी जिंदगी बन कर,
वो बात और है अगर जिंदगी वफ़ा ना करे।
Uski Mohabbat Laakh Chhupayi Zamaane Se Maine,
Magar Aankhon Mein Tere Aks Ko Chhupa Na Saka.
उसकी मोहब्बत लाख छुपाई ज़माने से मैंने,
मगर आँखों में तेरे अक्स को छुपा न सका।
Aarzoo Yeh Hai Ke Izhaar-e-Mohabbat Kar Dein,
Alfaaz Chunte Hain Toh Lahmhaat Badal Jaate Hain.
आरजू ये है कि इज़हार-ए-मोहब्बत कर दें,
अल्फाज़ चुनते है तो लम्हात बदल जाते हैं।
Maine Jaan Bacha Ke Rakhi Hai Apni Jaan Ke Liye,
Itna Pyar Kaise Ho Gaya Ek Anjaan Ke Liye.
मैंने जान बचा के रखी है अपनी जान के लिए,
इतना प्यार कैसे हो गया एक अनजान के लिए।
Gila-Shiqwa Hi Kar Dalo Ke Kuchh Waqt Kat Jaye,
Labon Pe Aapke Yeh Khamoshi Achhi Nahi Lagti.
गिला शिकवा ही कर डालो कि कुछ वक्त कट जाए,
लबों पे आपके ये खामोशी अच्छी नहीं लगती।
Ab Hum Ishq Ke Uss Maqam Par Aa Chuke Hain,
Jahan Dil Kisi Aur Ko Soche Toh Gunaah Hota Hai.
अब हम इश्क़ के उस मुक़ाम पर आ चुके हैं,
जहाँ दिल किसी और को सोचे भी तो गुनाह होता है।
Pyar Ka Koyi Rang Nahi Fir Bhi Woh Rangeen Hai,
Iska Koyi Chehra Nahi Fir Bhi Woh Haseen Hai.
प्यार का कोई रंग नही फिर भी वो रंगीन है,
इसका कोई चेहरा नही फिर भी वो हसीन हैं।
Ek Shab Gujri Thi Tere Gesuon Ki Chhav Mein,
Umr Bhar BeKhwaabiyan Mera Muqaddar Ho Gayin.
एक शब गुजरी थी तेरे गेसुओं के छाँव में,
उम्र भर बेख्वाबियाँ मेरा मुकद्दर हो गयीं।
Yeh Kya Ke Woh Jab Chahe Mujhe Chheen Le MujhSe,
Apne Liye Woh Shakhs Tadapta Bhi Toh Dekhun.
ये क्या कि वो जब चाहे मुझे छीन ले मुझसे,
अपने लिए वो शख़्स तड़पता भी तो देखूँ।
Shareek-e-Bazm Hokar Yun Uchatkar Baithhna Tera,
Khatkti Hai Teri Maujoodgi Mein Bhi Kami Apni.
शरीक-ए-बज्म होकर यूँ उचटकर बैठना तेरा,
खटकती है तेरी मौजूदगी में भी कमी अपनी।
Meri Takmeel Mein Hain Shamil Kuchh Tere Hisse,
Hum Agar Tujhse Na Milte Toh Adhoore Rah Jate.
मेरी तकमील में है शामिल कुछ तेरे हिस्से,
हम अगर तुझसे न मिलते तो अधूरे रह जाते।
Jab Kabhi Toot Kar Bikhro Toh Batana Humko,
Hum Tuhein Ret Ke Zarron Se Bhi Chun Sakte Hain.
जब कभी टूट कर बिखरो तो बताना हमको,
हम तुम्हें रेत के जर्रों से भी चुन सकते हैं।
Mohabbat Mein Yehi Khauf Kyun Hardam Rehta Hai,
Kahin Kisi Aur Se Toh Mohabbat Nahi Use?
मोहब्बत में यही खौफ क्यों हरदम रहता है
कहीं किसी और से तो मोहब्बत नहीं उसे?
Agar Sharar Hai Toh Bhadke Jo Phool Hai Toh Khile,
Tarah Tarah Ki Talab Tere Rang-e-Lab Se Hai.
अगर शरर है तो भड़के जो फूल है तो खिले,
तरह तरह की तलब तेरे रंग-ए-लब से है।
Laut Jaati Hai Udhar Ko Bhi Najar Kya Keeje,
Ab Bhi DilKash Hai Tera Husn Magar Kya Keeje.
लौट जाती है उधर को भी नज़र क्या कीजे,
अब भी दिलकश है तेरा हुस्न मगर क्या कीजे।
Yeh Ajab Qayamatein Hain Teri Rahgujar Mein Gujaari,
Na Ho Ke Mar Mitein Hum, Na Ho Ke Jee Uthein Hum.
ये अजब क़यामतें हैं तेरी रहगुजर में गुजारी,
न हो कि मर मिटें हम न हो कि जी उठें हम।
Gulon Mein Rang Bhare Baad-e-Nau-Bahaar Chale,
Chale Bhi Aao Ki Gulshan Ka Karobaar Chale.
गुलों में रंग भरे बाद-ए-नौ-बहार चले,
चले भी आओ कि गुलशन का कारोबार चले।
Tu Jo Mil Jaye Toh Taqdeer Nigoon Ho Jaye,
Yun Na Tha Maine Faqat Chaha Tha Yun Ho Jaye.
तू जो मिल जाये तो तक़दीर निगूँ हो जाये,
यूँ न था मैने फ़क़त चाहा था यूँ हो जाये।
Uthh Kar Toh Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar,
Kuchh Dil Hi Jaanta Hai Ki Kis Dil Se Aaye Hain.
उठ कर तो आ गए हैं तिरी बज़्म से मगर,
कुछ दिल ही जानता है कि किस दिल से आए हैं।
Ik Tarz-e-Tagaful Hai So Woh Unko Mubarak,
Ik Arz-e-Tamanna Hai So Hum Karte Rahenge.
इक तर्ज़-ए-तग़ाफ़ुल है सो वो उन को मुबारक,
इक अर्ज़-ए-तमन्ना है सो हम करते रहेंगे।
Yeh Aarzoo Bhi Badi Cheez Hai Magar Humdum,
Visaal-e-Yaar Faqat Aarzoo Ki Baat Nahi.
ये आरज़ू भी बड़ी चीज़ है मगर हमदम,
विसाल-ए-यार फ़क़त आरज़ू की बात नहीं।
Woh Aa Rahe Hain Woh Aate Hain Aa Rahe Honge,
Shab-e-Firaaq Yeh Keh Kar Gujaar Di Hamne.
वो आ रहे हैं वो आते हैं आ रहे होंगे,
शब-ए-फ़िराक़ ये कह कर गुज़ार दी हम ने।
Shaam-e-Firaaq Ab Na Puchh Aayi Aur Aa Ke Tal Gayi,
Dil Tha Ki Phir Bahal Gaya Jaan Thi Ki Phir Sambhal Gayi.
शाम-ए-फ़िराक़ अब न पूछ आई और आ के टल गई,
दिल था कि फिर बहल गया जाँ थी कि फिर सँभल गई।
Ibteda-e-Ishq Hai Rota Hai Kya,
Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya.
इब्तिदा-ए-इश्क़ है रोता है क्या,
आगे आगे देखिए होता है क्या।
Ishq Ik Mir Bhari Patthar Hai,
Kab Yeh Tujh Na-Tawan Se UthhTa Hai.
इश्क़ इक मीर भारी पत्थर है,
कब ये तुझ ना-तवाँ से उठता है।
Ishq Mein Jee Ko Sabr-Taab Kahan,
Uss Se Aankhein Ladi Toh Khwab Kahan.
इश्क़ में जी को सब्र-ताब कहाँ,
उस से आँखें लड़ीं तो ख़्वाब कहाँ।
Kaya Kahun Tumse Main Ke Kya Hai Ishq,
Jaan Ka Rog Hai Balaa Hai Ishq.
क्या कहूँ तुम से मैं कि क्या है इश्क़,
जान का रोग है बला है इश्क़।
Yaad Uss Ki Itni Khoob Nahi Mir Baaz Aa,
Nadaan Phir Wo Jee Se Bhulaya Na Jayega.
याद उस की इतनी ख़ूब नहीं मीर बाज़ आ,
नादान फिर वो जी से भुलाया न जाएगा।
Ab Kar Ke Faramosh Toh Nashaad Karoge,
Par Hum Jo Na Honge Toh Bahut Yaad Karoge.
अब कर के फ़रामोश तो नाशाद करोगे
पर हम जो न होंगे तो बहुत याद करोगे।
Jin-Jin Ko Tha Yeh Ishq Ka Aazaar Mar Gaye,
Aksar Humare Saath Ke Beemar Mar Gaye.
जिन जिन को था ये इश्क़ का आज़ार मर गए,
अक्सर हमारे साथ के बीमार मर गए।
Hoga Kisi Deewar Ke Saaye Mein Pada Mir,
Kya Kaam Mohabbat Se Uss Aaram-Talab Ko.
होगा किसी दीवार के साए में पड़ा मीर,
क्या काम मोहब्बत से उस आराम-तलब को।
Ishq Bhi Ho Hijaab Mein Husn Bhi Ho Hijaab Mein,
Yaa Toh Khud Aashkaar Ho Ya Mujhe Aashkaar Kar.
इश्क़ भी हो हिजाब में हुस्न भी हो हिजाब में,
या तो ख़ुद आश्कार हो या मुझे आश्कार कर।
Ishq Teri Intehaan Ishq Meri Intehaan,
Tu Bhi Abhi Na-Tamaam Main Bhi Abhi Na-Tamaam.
इश्क़ तेरी इन्तेहाँ इश्क़ मेरी इन्तेहाँ,
तू भी अभी ना-तमाम मैं भी अभी ना-तमाम।
Faqat Nigaah Se Hota Hai Faisla Dil Ka,
Na Ho Nigaah Mein Shokhi Toh Dilbari Kya Hai.
फ़क़त निगाह से होता है फ़ैसला दिल का,
न हो निगाह में शोख़ी तो दिलबरी क्या है।
Anokhi Bazaa Hai Saare Zamaane Se Niraale Hain,
Ye Aashiq Kaun Si Basti Ke Ya Rab Rahne Wale Hain.
अनोखी वजाअ है सारे ज़माने से निराले हैं,
ये आशिक़ कौन सी बस्ती के या रब रहने वाले हैं।
Mohabbat Ki Tamanna Hai Toh Phir Wo Vasf Paida Kar,
Jahan Se Ishq Chalta Hai Wahan Tak Naam Paida Kar.
मोहब्बत की तमन्ना है तो फिर वो वस्फ़ पैदा कर,
जहाँ से इश्क चलता है वहाँ तक नाम पैदा कर।
Akal Ayyaar Hai Sau Bhesh Bana Leti Hai,
Ishq Bechara Na Mulla Hai Na Zahid Na Hakeem.
अक्ल अय्यार है सौ भेष बना लेती है,
इश्क बेचारा न मुल्ला है न जाहिद न हकीम।
Abhi Kamsin Hain Zidein Bhi Hain Nirali Unki,
Iss Pe Machle Hain Hum Dard-e-Jigar Dekhenge.
अभी कमसिन हैं जिदें भी हैं निराली उनकी,
इस पे मचले हैं हम दर्द-ए-जिगर देखेंगे।
Idhar Humse Bhi Baat Lakh Karte Hain Lagawat Ki,
Udhar Gairo Se Bhi Kuchh Vaade Hote Jate Hain.
इधर हमसे भी बात लाख करते हैं लगावत की,
उधर गैरों से भी कुछ वादे होते जाते हैं।
Maar Daalegi Mujhe Yeh Khusbayani Aapki,
Maut Bhi Aayegi Mujhko Toh Jabani Aapki.
मार डालेगी मुझे ये खुशबयानी आपकी,
मौत भी आएगी मुझको तो जबानी आपकी।